zara se gham ke liye jaan se guzar jaana
mohabbaton men zaruri nahin hai mar jaana
kabhi lihaz na rakhna kisi rivayat ka
jo ji men aaya use ham ne mo’atabar jaana
vo ret ret faza men tiri sada ka sarab
vo be-irada mira raah men Thahar jaana
tamam raat bhaTakna tire ta.aqub men
tire ḳhayal ki sab siḌhiyan utar jaana
vo man men chor liye phirna tere saa.e ka
gali ke moḌ pe divar-o-dar se Dar jaana
‘shakil’ gaanv ke sab log so ga.e honge
ab itni raat ko achchha nahin hai ghar jaana
Leave a Reply