• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zamin Par Hi Rahe Aasman Ke Hote Hue

Zamin Par Hi Rahe Aasman Ke Hote Hue

akhtar-hoshiyarpuri

zamin par hi rahe asman ke hote hue

kahin na ghar se gae karvan ke hote hue

main kis ka naam na luun aur naam luun kis ka

hazaron phuul khile the ḳhizan ke hote hue

badan ki jaise havaon ki zad men koi charagh

ye apna haal tha ik mehrban ke hote hue

hamen ḳhabar hai koi ham-safar na tha phir bhi

yaqin ki manzilen tai kiin guman ke hote hue

vo be-niyaz hain ham mustaqil kahin na ruke

kisi ke naqsh-e-qadam astan ke hote hue

har ek raḳht-e-safar ko uThae phirta tha

koi makin na kahin tha makan ke hote hue

ye saneha bhi mire ansuon pe guzra hai

nigah bolti thi tarjuman ke hote hue

hidayaton ka hai mohtaj nama-bar ki tarah

faqih-e-shahr tilism-e-bayan ke hote hue

ajiib nuur se rishta tha nuur ka aḳhtar

kai charagh jale kahkashan ke hote hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Raste Mein luT Gaya Hai to Kya Qafila to Hai

poet

Is Daur Ke Asar Ka Jo Puchho Bayan Nahin

Daulat Hai baDi Chiz Hukumat Hai baDi Chiz

Yun Na Begana Raho Git Sunati Hai Hawa

poet

Dida Hai Kahin Dil Kahin Aur Jaan Kahin Aur

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet