• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / zaKHmon Ke Nae Phul Khilane Ke Liye Aa

zaKHmon Ke Nae Phul Khilane Ke Liye Aa

zaḳhmon ke na.e phuul khilane ke liye aa

phir mausam-e-gul yaad dilane ke liye aa

masti liye ankhon men bikhere hue zulfen

aa phir mujhe divana banane ke liye aa

ab lutf isi men hai maza hai to isi men

aa ai mire mahbub satane ke liye aa

aa rakh dahan-e-zaḳhm pe phir ungliyan apni

dil bansuri teri hai bajane ke liye aa

haan kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh

dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa

maana ki mire ghar se adavat hi tujhe hai

rahne ko na aa aag lagane ke liye aa

pyare tiri surat se bhi achchhi hai jo tasvir

main ne tujhe rakkhi hai dikhane ke liye, aa

ashufta kahe hai koi divana kahe hai

main kaun huun duniya ko batane ke liye aa

kuchh roz se ham shahr men rusva na hue hain

aa phir koi ilzam lagane ke liye aa

ab ke jo vo aa jaa.e to ‘ajiz’ use le kar

mahfil men ghazal apni sunane ke liye aa

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gae Dinon Ka Hawala Tha Kaam Kya Deta

Tanhai Tamir Karegi Ghar Se Behtar Ek Zindan

ajmal-siddiqi

Khat Jo Tere Nam Likha, Takiye Ke Niche Rakhta Hun

aftab-shah-alam-sani

Kal Ka Wada Na Karo dil Mera Bekal Na Karo

poet

Jaga Nasib Kanp uThi Zulmat-E-Hayat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet