zaḳhm taaza tha to gahra.i ka andaza na tha
ab guman hota hai us ko chahna achchha na tha
main ki dast-e-hal men tha haal se bhi be-ḳhabar
pusht par maazi ki yaden samne farda na tha
vo miri nas nas men kaise dard ban kar rah gaya
mere us ke darmiyan aisa koi rishta na tha
chand sa ma.asum chehra aa.ina sa ru-ba-ru
ruuh ki sarshariyan thiin jism aluda na tha
dekhte hi dekhte ye rut bhi kya zarda ga.i
sabz mausam tha to sahra men bhi sannaTa na tha
jab khulin ankhen to har pahchan raushan hai ‘shamim’
main ne ye jaana ki is ko aaj tak jaana na tha
Leave a Reply