zaḳhm hi zaḳhm hain dil par kabhi aisa to na tha
karam-e-yar ka nashtar kabhi aisa to na tha
phuul jo mujh ko diye ban ga.e vo angare
vaqt ayyar-o-sitamgar kabhi aisa to na tha
bastiyan raaz ki ashkon men bahi jaati hain
maujzan gham ka samundar kabhi aisa to na tha
aaj dast-e-talab uTThe to qalam ho jaa.e
daur-e-mahrumi-e-saghar kabhi aisa to na tha
aane vaale nahin jab vo to ye raunaq kaisi
aaj jaisa hai mira ghar kabhi aisa to na tha
chhin ga.i ho na tajalli kahin divaron se
shor maiḳhane ke bahar kabhi aisa to na tha
paanv rakkha tha jahan sarv men ḳham hai ab tak
jada-e-ishq men patthar kabhi aisa to na tha
Leave a Reply