
Aziz Warsi
yurish-e-alam hai lekin mira dil ek hai
sainkaḌon maujon ki zad men aaj sahil ek hai
yuun to hain lakhon hasin ulfat ke qabil ek hai
char-janib hain shua.en mah-e-kamil ek hai
ah-e-sozan nala-e-shab-gir ya zabt-o-sukun
bad-nasibon ke liye in sab ka hasil ek hai
qais ho farhad ho vamiq ho ya mahmud ho
hain nigahen muḳhtalif laila-e-mahmil ek hai
daman-e-har-mauj hi apna to sahil hai ‘aziz’
kaun kahta hai ki bahr-e-gham men sahil ek hai

Leave a Reply