kaif-e-jan nur-e-basar yaad aaya
arsa-e-harf-o-hunar yaad aaya
dasht-e-imkan ki pahnai men
khaak bar-sar the ki ghar yaad aaya
lutte lutte bhi dil-e-mahzun ko
dard ka rakht-e-safar yaad aaya
jab ganva aae mata-e-hasti
tab hamen jaan ka zarar yaad aaya
bazm-e-janan hi sahi bazm-e-khayal
dil ka sannata magar yaad aaya
shab-e-mahjuri men hangam-e-nazaa
matl-e-nur-e-sahar yaad aaya
phir bujha diip koi palkon par
phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
kaun mange hai shabistan-e-visal
bas ik ashufta-nazar yaad aaya
phir hua dil men khayalon ka hujum
phir hamen silk-e-guhar yaad aaya
Leave a Reply