yuun zamane men mira jism bikhar jaega
mire anjam se har phuul nikhar jaega
jaam khali hai surahi se lahu bahta hai
aaj ki raat vo mahtab kidhar jaega
sail-e-girya miri ankhon se ye kah jaata hai
bastiyan roen to diya bhi utar jaega
to koi abr-e-guhar-bar samundar ke liye
dil ke sahra se jo chup-chap guzar jaega
aaj ye zulf-e-pareshan hai zamane ke liye
kal yahi daur kisi taur sanvar jaega
teri har baat pe mar jaata huun marta bhi nahin
ki miri maut men insan koi mar jaega
ashk moti se bikhar jaenge rahon men jahan
su-e-manzil bhi mira dida-e-tar jaega
main makin huun na makan shahr-e-mohabbat ka ‘zafar’
dil musafir na kisi ghair ke ghar jaega
Leave a Reply