yuun vo zulmat se raha dast-o-gareban yaaro
us se larzan the bahut shab ke nigahban yaaro
us ne har-gam diya hausla-e-taza hamen
vo na ik pal bhi raha ham se gurezan yaaro
us ne maani na kabhi tirgi-e-shab se shikast
dil andheron men raha us ka farozan yaaro
us ko har haal men jiine ki ada aati thi
vo na halat se hota tha pareshan yaaro
us ne batil se na ta-zist kiya samjhauta
dahr men us sa kahan sahab-e-iman yaaro
us ko thi kashmakash-e-dair-o-haram se nafrat
us sa hindu na koi us sa musalman yaaro
us ne sulatani-e-jamhur ke naghme likkhe
ruuh shahon ki rahi us se pareshan yaaro
apne ash.ar ki sham.on se ujala kar ke
kar gaya shab ka safar kitna vo asan yaaro
us ke giton se zamane ko sanvaren yaaro
ruh-e-‘sahir’ ko agar karna hai shadan yaaro
Leave a Reply