yuun taraqqi ka hamen sapna dikhaya ja raha hai
gaanv chupke se amiron ko luTaya ja raha hai
aaj har avaz ko aise dabaya ja raha hai
kah ke dahshat-gard hain ḳhatra bataya ja raha hai
ham bahut ḳhush hain hamare gaanv tum rahne do aise
shahar in ko kyon zabardasti banaya ja raha hai
hindu muslim sikh isa.i barson se hain saath rahte
bhaa.i ko phir bhaa.i se ab kyon laḌaya ja raha hai
kyon hamari hasti ko hai barha lalkara jaata
kya vajah hai kyon hamara ḳhuun bahaya ja raha hai
zindagi hai pyari sab ko shauq se hai kaun marta
koi to majburi hai jo zahar khaya ja raha hai
fikr un ko hai hamari ye kaha jaata hai qasid
kyon bina puchhe ye phir qanun laaya ja raha hai
Leave a Reply