Yun Na Jao Ki Bahut Raat Abhi Baqi Hai

yuuñ na jaao ki bahut raat abhī baaqī hai

mere hisse kī mulāqāt abhī baaqī hai

raat mahkegī to ḳhvāhish bhī bahak jā.egī

jo na ho paa.ī hai vo baat abhī baaqī hai

ḳhair se mil ga.iiñ rāteñ vo murādoñ vaalī

aap ke husn kī ḳhairāt abhī baaqī hai

chāñdnī raat kā har qarz utārā ham ne

pyāse armānoñ kī bārāt abhī baaqī hai

us ke hoñToñ ke gulāb aaj bhī taaza haiñ ‘zamīr’

ik mahaktī huī sauġhāt abhī baaqī hai

Leave a Comment