ye to nahin ki ham pe sitam hi kabhi na the
itna zarur tha ki vo naguftani na the
ai chashm-e-iltifat ye kya ho gaya tujhe
teri nazar men ham to kabhi ajnabi na the
phirte hain aftab-zada ka.enat men
ham par kisi ki zulf ke ehsan kabhi na the
pamal kar diya jo falak ne to kya kahen
ham to kisi kamal ke bhi mudda.i na the
kya jurm tha ye aaj bhi ham par nahin khula
ye ilm hai ki ahl-e-junun kushtani na the
har lamha tere ishq men umr-e-abad bana
jo din bhi zindagi ke mile aarzi na the
murjha ke bhi ga.i na mahak jism-e-naz ki
ye motiye ke phuul koi kaghzi na the
yaran-e-shahr ishq men be-abru hue
ham par to mehrban vo kabhi the kabhi na the
iqlim-e-ashiqi ko diya din-e-sha.iri
ham sahib-e-kitab the garche nabi na the
ham jin ki nazr karte javahar kalam ke
‘tahir’ hamare shahar men vo jauhari na the
Leave a Reply