ye shoḳhiyan ye ḳhumar jaise sharab ankhen
dikha rahi hain har ek shab ham ko ḳhvab ankhen
hamen yaqin hai ki cameron ki nahin zarurat
hamara har pal jo karti hain ehtisab ankhen
lage hue hain qatar men be-shumar ‘aqib’
na jaane kis ka karengi ab intiḳhab ankhen
saval dil ne kiya mohabbat ka Darte Darte
to de rahi hain ada se jhuk kar javab ankhen
hai ru-e-mahbub samne us ghaḌi ki jis ka
tavaf kar ke kama rahi hain savab ankhen
palaT palaT kar ye dekhti hain hamari janib
jo apne qaari ki muntazir vo kitab ankhen
main do hi ankhen liye zamane ko dekhta tha
magar mujhe dekhti rahin be-shumar ankhen
sanad mohabbat ki ashiqon ne yahin se paa.i
kisi university ka jama.a nisab ankhen
kabhi sarapa karam hain ‘aqib’ sarapa rahmat
jo phir ga.iin to huiin sarapa azaab ankhen
Leave a Reply