ye ret qais ke naqsh-e-qadam pe chalti rahi
samundaron ke khad-o-khal ko badalti rahi
kisi ke qadmon se raste lipat ke roya kiye
kisi ki maut pe khud maut haath malti rahi
use kinare ka kankar samajh ke paanv na rakh
ye aarzu mere dil ke sadaf men palti rahi
ghurur-e-tishna-dahani tiri baqa ki qasam
nadi hamare labon ki taraf uchhalti rahi
jami thi barf ravayyon ki surkh ankhon par
darun-e-jism koi aag thi machalti rahi
tamash-gah-e-zamana men zindagi apni
sambhal ke girti rahi gir ke phir sambhalti rahi
ye kaun aina-paikar yahan se guzra hai
ki jis ki gard-e-safar par nazar phisalti rahi