ye kamra aur ye gard-o-ghubar us ka hai
vo jis ne aana nahin intizar us ka hai
ruki huun zakhm ke raqbe men apni marzi se
ye janti huun ki qurb-o-javar us ka hai
kisi khasare ke saude men haath aaya tha
so ek qimti shai men shumar us ka hai
faqat firaq to itna nasha nahin rakhta
main ladkhadai huun jis se khumar us ka hai
kharid sakti thi so main kharid laai huun
vo mere paas hai chahe hazar us ka hai
darida-jan huun darida-libasiyan bhi hain
magar ye kam to nahin taar taar us ka hai
main saint saint ke kitna samet kar rakhkhun
ki kaenat bhara intishar us ka hai
na jaane bolti rahti huun niind men kya kya
jo naam sunti huun main baar baar us ka hai
main ghar se jaun to taala laga ke jaati huun
kuchh us ki shohraten kuchh e’tibar us ka hai
Leave a Reply