Aankhon Mein KHwab Aur Rag-O-Pai Mein KHun Nahin

āñkhoñ meñ ḳhvāb aur rag-o-pai meñ ḳhuuñ nahīñ

lailā-o-dasht hai magar ab vo junūñ nahīñ

ye iztirāb aur bhī baḌhtā hai ruuh meñ

ab ḳhvāb meñ bhī mujh ko mayassar sukūñ nahīñ

tinkā sā ban ke rah ga.e haiñ sat.h-e-āb par

ham bahnā chāhte the ai dariyā pa yuuñ nahīñ

ḳhālī paḌī huī hai mirī kā.enāt-e-dil

ġham bhī koī bachā huā ab ke darūñ nahīñ

tūfān-o-barshgāl se go purza purza hai

kashtī kā bādbān magar sar nigūñ nahīñ

āvāz mar rahī hai magar shahr meñ ‘figār’

koī malūl-e-harf kī mayyat pe kyoñ nahīñ

Leave a Comment