• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Jo Mujh Par Nikhaar Hai Sain

Ye Jo Mujh Par Nikhaar Hai Sain

ye jo mujh par nikhar hai sa.in

aap hi ki bahar hai sa.in

aap chahen to jaan bhi le len

aap ko iḳhtiyar hai sa.in

tum milate ho bichhḌe logon ko

ek mera bhi yaar hai sa.in

kisi khunTi se bandh diije use

dil baḌa be-mahar hai sa.in

ishq men laghzishon pe kiije muaaf

sa.in ye pahli baar hai sa.in

kul mila kar hai jo bhi kuchh mera

aap se musta.ar hai sa.in

ek kashti bana hi diije mujhe

koi dariya ke paar hai sa.in

roz aansu kama ke laata huun

gham mira rozgar hai sa.in

vus.at-e-rizq ki dua diije

dard ka karobar hai sa.in

ḳhar-zaron se ho ke aaya huun

pairahan tar-tar hai sa.in

kabhi aa kar to dekhiye ki ye dil

kaisa ujḌa dayar hai sa.in

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

etibar-sajid

Band dariche Suni Galiyan An-dekhe Anjaane Log

abdul-hamid-adam

Na Khuda Hai Na Nakhuda Sathi

kaifi-azmi

Jhuki Jhuki Si Nazar Be-Qarar Hai Ki Nahin

Tu Ne Kamal Kaam Ye Nadan Kar Diya

Kab Talak Yun Dhup Chhanw Ka Tamasha Dekhna

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet