
Jaleel Aali
ye jo alfaz ko mahkar banaya hua hai
ek gul ka ye sab asrar banaya hua hai
soch ko suujh kahan hai ki jo kuchh kah paa.e
dil ne kya kya pas-e-divar banaya hua hai
pair jaate hain ye dariya-e-shab-o-roz aksar
baagh ik sair ko us paar banaya hua hai
shauq-e-dahliz pe be-tab khaḌa hai kab se
dard gundhe hue hain haar banaya hua hai
ye to apnon hi ke charkon ki sulag hai varna
dil ne har aag ko gulzar banaya hua hai
toḌna hai jo ta.alluq to tazabzub kaisa
shaḳh-e-ehsas pe kya baar banaya hua hai
jaan khapate hain gham-e-ishq men ḳhush ḳhush ‘ali’
kaisi lazzat ka ye azar banaya hua hai

Leave a Reply