ye baat samajh men aai nahin
aur ammi ne samjhai nahin
men kaise mithi baat karun
jab main ne mithai khaai nahin
aapi bhi pakati hain halva
phir vo bhi kyuun halvai nahin
ye baat samajh men aai nahin
naani ke miyan to naana hain
daadi ke miyan bhi daada hain
jab aapa se main ne ye puchha
baaji ke miyan kya baaja hain
vo hans hans kar ye kahne lagin
ai bhaai nahin ai bhaai nahin
ye baat samajh men aai nahin
jab naya mahina aata hai to
bijli ka bil aa jaata hai
halanki badal bechara
ye bijli muft banata hai
phir ham ne apne ghar bijli
badal se kyuun lagvai nahin
ye baat samajh men aai nahin
gar billi sher ki khala hai
to ham ne use kyuun paala hai
kya sher bahut nalaeq hai
khala ko maar nikala hai
ya jangal ke raaja ke haan
kya milti duudh milai nahin
ye baat samajh men aai nahin
kyuun lambe baal hain bhalu ke
kyuun us ki tund karai nahin
kya vo bhi ganda bachcha hai
ya us ke abbu bhaai nahin
ye us ka hair style hai
ya jangal men koi naai nahin
ye baat samajh men aai nahin
jo taare jhilmil karte hain
kya un ki chachchi taai nahin
hoga koi rishta suraj se
ye baat hamen batlai nahin
ye chanda kaisa maama hai
jab ammi ka vo bhaai nahin
ye baat samajh men aai nahin
Leave a Reply