yaar ne is dil-e-nachiz ko behtar jaana
daagh ko phuul to qatre ko samundar jaana
kat gae dekhte hi ham to tiri chashm-e-ghazab
jumbish-e-abru-e-khamdar ko khanjar jaana
sach hai yaksan hai adam aur vajud-e-duniya
aise hone ko na hone ke barabar jaana
aankh ham bada-kashon se na mila ai jamshed
apne chullu ko tire jaam se badh kar jaana
kab zamane men hai mohtaj-e-makan khana-kharab
ho gai dil men kisi ke jo jagah ghar jaana
samjhe ‘jauhar’ ko bura us ki shikayat kya hai
vahi achchha hai jise aap ne behtar jaana
Leave a Reply