yahi ab faisla-e-jang-ju hai
tera khanjar hai aur mera gulu hai
hue hain ghar se be-ghar is junun men
makin-e-la-makan ki justuju hai
ayaan har rang men hai tera jalva
basi har gul men janan teri bu hai
namaz apni hai bas tera tasavvur
tumhare vaste rona vuzu hai
shah-e-‘varis’ ka jalva dekh kar ham
kahe ‘aughat’ na kyunkar tu hi tu hai
Leave a Reply