
Nisar Nasik
sha.iri meri tapasya lafz hai bargad mira
ye zamin saari zamin mushfiq zamin ma.abad mira
main gaya ki raushni huun main hira ka nuur huun
tu fana ke haath se kyuun napta hai qad mira
dhyan ke gunge safar se bhi nikal ja.un magar
rasta roke khaḌi hai saans ki sarhad mira
umr-bhar suraj tha sar par dhuup thi mera libas
ab ye ḳhvahish hai ghani chhanv men ho marqad mira
kah diya tha main purani soch ka shajara nahin
aaj tak munh dekhte hain mere ḳhal-o-ḳhad mira
mujh se aage bhi hain kuchh taaza sadaon ke alam
main ‘zafar’ ka laDla huun pesh-rau ‘amjad’ mira

Leave a Reply