yagana ban ke ho jaa.e vo begana to kya hoga
jo pahchana to kya hoga na pahchana to kya hoga
kisi ko kya ḳhabar aansu hain kyuun chashm-e-mohabbat men
fughan se guunj uTThega jo virana to kya hoga
hamari si mohabbat tum ko ham se ho to kya guzre
bana de sham.a ko bhi ishq parvana to kya hoga
yahi hoga ki duniya aql ka anjam dekhegi
had-e-vahshat se baḌh ja.ega divana to kya hoga
ta.assub darmiyan se aap ko vapas na le aa.e
haram ki raah men nikla sanam-ḳhana to kya hoga
tasavvur kijiye us aane vaale daur-e-barham ka
gada toḌenge jab pindar-e-shahana to kya hoga
miTa do hasrat-e-abadi-e-dil bhi mire dil se
ye jitna ab hai is se aur virana to kya hoga
na tum aaoge na avaz apni lauT pa.egi
pukarega tumhen sahra men divana to kya hoga
fareb-e-zindagi ki dastan kahne ko kya kam hai
qayamat men zaban par aur afsana to kya hoga
lahu ke daagh baḌh ja.enge kuchh divar-e-zindan par
ḳhafa ho ja.ega zindan se divana to kya hoga
mudava ho nahin sakta hai dil par choT khane ka
mire qadmon pe rakh do taj-e-shahana to kya hoga
‘saba’ jo zindagi bhigi hui hai barish-e-gul se
bula.ega kisi din us ko virana to kya hoga
Leave a Reply