yadon ka lams zehn ko chhu kar guzar gaya
nashtar sa mere jism men jaise utar gaya
maujon ka shor mujh ko Darata raha magar
paani men paanv rakhte hi dariya utar gaya
pairon pe har taraf hi havaon ka raqs tha
ab sochta huun aaj vo manzar kidhar gaya
do din men ḳhal-o-ḳhat mire tabdil ho ga.e
a.ina dekhte hi main apne se Dar gaya
apna makan bhi tha usi moḌ par magar
jaane main kis ḳhayal men auron ke ghar gaya
us din mira ye dil to bahut hi udaas tha
shayad sukun hi ke liye dar-ba-dar gaya
main sang huun na aur vo shisha hi tha magar
‘aslam’ jo us ko haath lagaya bikhar gaya
Leave a Reply