
Shamim Karhani
yaad ki sub.h Dhal ga.i shauq ki shaam ho ga.i
aap ke intizar men umr tamam ho ga.i
pi hai jo ek buund bhi jaag paḌi hai zindagi
aisi sharab-e-jan-faza kaise haram ho ga.i
saath kisi ne chhoḌ kar toḌ diya kisi ka dil
chal to paḌa tha karvan raah men shaam ho ga.i
nikle ba-yad-e-mai-kada taron ke saath saath ham
jaam tak aa ke zindagi mah-e-tamam ho ga.i
raas na aa.i ziist ko sub.h-e-bahar ki hava
ahl-e-junun ki anjuman ḳhalvat-e-jam ho ga.i
aaj vo muskura diye aaj hamari zindagi
aag se phuul ban ga.i phuul se jaam ho ga.i
bazm se be-zaban uThe raah men guftugu na ki
kaise hamari dastan shahr men aam ho ga.i
raat ki jashn-gah par os paḌi hai niind ki
bad-e-sahar na jaane kyuun mahv-e-ḳhiram ho ga.i
sun li zaban-e-ḳhalq se ham ne ghazal ‘shamim’ ki
kaun si ḳhaas baat hai kis liye aam ho ga.i

Leave a Reply