yaad hai roz-e-azal us ne kaha kya kya kuchh
bar-khilaf is ke yahan tu ne kiya kya kya kuchh
huur di khuld diya qasr diya rahne ko
mujh gunahgar ko khaliq ne diya kya kya kuchh
sal-ha-sal bahar-e-chaman-e-alam ne
rang dikhlae hain ham ko ba-khuda kya kya kuchh
gah khizan aai gulistan men kabhi bad-e-bahar
samne ankhon ke bande ke hua kya kya kuchh
tohmat-e-jurm-o-jafa hirs-o-hava ghaflat-e-dil
ham ne bazar se hasti ke liya kya kya kuchh
asman mehr-e-falak ru-e-zamin arsh-e-barin
peshtar is se khuda jaane hua kya kya kuchh
bab-e-firduas o dar-e-rauza-e-rizvan zahid
band in ankhon ke hote hi khula kya kya kuchh
nazaa ke vaqt main puchhunga kisi munim se
saath kya apne liya aur raha kya kya kuchh
vaqt-e-dil jaane ke hargiz na khabar-dar kiya
ab samjhati hai ye fikr-e-rasa kya kya kuchh
shiddat-e-ranj-o-alam sadma-e-dil soz-e-jigar
furqat-e-yar men mujh par na hua kya kya kuchh
dair ko puuja haram ko kiye gaahe sajde
kar liya ziist men beja-o-baja kya kya kuchh
jo talafi na ho mahshar men ajab hai us ka
khud hain maaqul ki yaan ham ne kiya kya kya kuchh
gosh par jaam ke munh raat ko rakh kar apna
kis ko maalum hai shishe ne kaha kya kya kuchh
dagh-e-dil khun-e-jigar atish-e-gham dard-e-firaq
ham ko bhi ishq ki daulat se mila kya kya kuchh
‘muntahi’ zor-e-badan quvvat-e-dil chalaki
ek aane se zaifi ke gaya kya kya kuchh
Leave a Reply