Wusat-E-Kaun-O-Makan Mein Wo Samate Bhi Nahin

vus.at-e-kaun-o-makāñ meñ vo samāte bhī nahīñ

jalva-afroz bhī haiñ sāmne aate bhī nahīñ

pārsā.ī kā hamārī nahīñ duniyā meñ javāb

vaqt aa jaa.e to dāman ko bachāte bhī nahīñ

ham vo mai-kash haiñ kī saaqī kī nazar phirte hī

jaam kī samt nigāhoñ ko uThāte bhī nahīñ

ḳhud hī rañg-e-ruḳh-e-mahbūb uḌā jaatā hai

ham to rūdād-e-ġham-e-ishq sunāte bhī nahīñ

bū-e-gul jin kā kiyā kartī thī rah rah ke tavāf

ab chaman meñ vo nasheman nazar aate bhī nahīñ

ham vo barbād-e-mohabbat haiñ ḳhudā shāhid hai

aag dil meñ jo lagī ho to bujhāte bhī nahīñ

vaqt nāzuk hai ye kyā soch rahe ho ‘shā.ir’

aisī zulmat meñ koī sham.a jalāte bhī nahīñ

Leave a Comment