har samt ḳhamushi ka ghana ik hisar tha
hadd-e-nigah silsila-e-kohsar tha
vo aag thi ki jalta raha umr bhar badan
muzmar mire lahu men kahin ik sharar tha
chhu kar bulandiyon ko hue bad-guman log
phir is ke ba.ad ek musalsal utaar tha
ham ne dua.en maang kar rokin tabahiyan
lekin har ek shai men ajab intishar tha
ik raushni bhi dast-e-masafat men saath thi
koi to mujh se aage sar-e-rahguzar tha
Leave a Reply