vo to yunhi kahta hai ki main kuchh nahin kahta
mera ye maqula hai ki main kuchh nahin kahta
kah jaata hai vo saaf hazaron mujhe baten
phir us pe ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta
ai dosto us shokh ka main kya kahun aalam
kuchh aaj vo dekha hai ki main kuchh nahin kahta
yuun ghair sataen mujhe aur kuchh na kahun main
munh mujh ko tumhara hai ki main kuchh nahin kahta
har baat pe kya kya hamen kahta hai vo zalim
gar kahiye to kahta hai ki main kuchh nahin kahta
bas aur kiya chahte ho mujh pe sitam kya
socho to ye thoda hai ki main kuchh nahin kahta
kya haal banaya hai gham-e-ghair men apna
vo aap ka naqsha hai ki main kuchh nahin kahta
juz mere kisi aur ko to aap sataen
haan aap ne samjha hai ki main kuchh nahin kahta
aisa hamen kahte ho ki bas jante hain ham
ye aap ko dhoka hai ki main kuchh nahin kahta
kya kya mujhe tum kahte ho insaf to kiije
ye hausla mera hai ki main kuchh nahin kahta
daava karen go aur ‘nizam’ apne sukhan par
par mujh ko ye daava hai ki main kuchh nahin kahta
Leave a Reply