vo tark-e-ishq ka tha rasta chala gaya main
bila-irada hi jis par chala chala gaya main
vo shaḳhs yunhi kahin raste men mil gaya tha
palak jhapak ke use dekhta chala gaya main
miri hayat men ik dusri mohabbat thi
use bhi aur koi mil gaya chala gaya main
ḳhabar nahin ki yahan aur kaun hai maujud
pata karo ki yahin par huun ya chala gaya main
phir us ke ba.ad kahan tha mujhe nahin ma.alum
faqir-e-ishq se le kar dua chala gaya main
Leave a Reply