vo sardi se TheThurta hai na garmi hi satati hai
ye mausam haar jaate hain gharibi jiit jaati hai
mire rahbar haTa chashma tujhe manzar dikhata huun
ye Toli bhuke bachchon ki ghazab thali bajati hai
mire rab chand punam ka zara chauras hi kar de tu
gola.i dekhta huun main to roTi yaad aati hai
ye manzar dekhta huun main to ankhen Duub jaati hain
vo nannhi god si guḌiya kisi ka bojh uThati hai
Leave a Reply