vo sanjida hai ranjida nahin hai
miri ankhon ko kuchh dhoka nahin hai
na itni jald itne bad-guman ho
abhi tum ne mujhe samjha nahin hai
nazar dil dhaḌkanen jazbat aansu
paraya hai ye sab apna nahin hai
kuchh aise naam bhi dil par raqam hain
ki jin se rabt hai rishta nahin hai
jo shisha-gar hua karte the kal tak
ab un hathon men a.ina nahin hai
ḳhajil hain ham vafaon par bhi lekin
jafaon par vo sharminda nahin hai
miri basti hai ya abad jangal
makan maujud ham-saya nahin hai
vo apni bhuuk hi kha lenge ik din
vo jin kai paas azuqa nahin hai
nazar be-nur hoti ja rahi hai
bahut din se tumhen dekha nahin hai
jo dil masruf ho yadon men teri
vo tanha.i men bhi tanha nahin hai
zaval-e-abru bas ek zid par
tumhen me.araj ye zeba nahin hai
Leave a Reply