vo nahin huun main ki jis par koi ashk-bar hota
kabhi sham.a bhi na roti jo mira mazar hota
shab-e-gham men zindagi ka kise e’tibar hota
miri jaan ja chuki thi jo na intizar hota
miri dastan-e-gham ko vo ghalat samajh rahe hain
kuchh unhin ki baat banti agar e’tibar hota
yahi soz-e-ishq jis ko main hamesha raaz samjha
jo hijab-e-dil na jalta to na ashkar hota
main shikayat zamana jo karun to kya samajh kar
na ye daur-e-charḳh hota na ye rozgar hota
dil-e-para-para tujh ko koi yuun to dafn karta
vo jidhar nigah karte udhar ik mazar hota
mai-e-ishq josh-zan hai ye lahu nahin ragon men
mira nashsha kyuun utarta mujhe kyuun ḳhumar hota
mire dil ne baḌh ke roka tire tir-e-jan-fishan ko
jo ye beach men na paḌta to jigar ke paar hota
vo lahad pe un ka aana vo qadam qadam pe mahshar
miri niind kyuun uchaTti agar ek baar hota
shab-e-hijr ba.ad mere agar is jahan men rahti
to yahi siyah daftar mira yadgar hota
jo hamare dekhne ko kabhi aap aa nikalte
vahi aankh dar pe hoti vahi intizar hota
vo shabab ke fasane jo main sun raha huun dil se
agar aur koi kahta to na e’tibar hota
ye zamana baḌh raha hai faqat iztirab-e-dil se
shab-e-gham na yuun Thaharti jo mujhe qarar hota
vo jahan men aag lagti ki bujha.e se na bujhti
mire dud-e-dil men ‘saqib’ jo koi sharar hota
Leave a Reply