vo mujhe dil men yaad karta hai
rang chehre ka bol uThta hai
bujhne lagtin hain jab miri ankhen
aḳhir-e-shab charagh jalta hai
niind men aa rahi hain avazen
vahima duur ja nikalta hai
jab chamakti hai fikr ankhon men
tab kahin rasta nikalta hai
‘roz’ ik ḳhvahishon ka jolaha
ḳhvab bunta hai ḳhvab bunta hai
Leave a Reply