vo mere samne malbus kya badalne laga
nigar ḳhana-e-abr-o-hava badalne laga
tah-e-zamin kisi azhdahe ne jumbish ki
bisat-e-ḳhak pe manzar mira badalne laga
ye kaun utra pa.e-gasht apni masnad se
aur intizam-e-makan o sira badalne laga
hua hai kaun numudar tiin samton se
ki andarun ka jazira-numa badalne laga
ye kaise din hain hamari zamin par ‘sarvat’
gulon ka rang namak ka maza badalne laga
Leave a Reply