vo masiha qabr par aata raha
main mue par rose ji jaata raha
zindagi ki ham ne mar-mar ke basar
vo but-e-tarsa jo tarsata raha
vaah bakht-e-na-rasa dekha tujhe
nama-bar se khat kahin jaata raha
raah takte takte akhir jaan gai
vo taghaful-kesh bas aata raha
dil to dene ko diya par ham-nashin
haath main mal mal ke pachhtata raha
dekh us ko ho gaya main be-khabar
dil yakayak haath se jaata raha
kya kahun kis tarah furqat men jiya
khun-e-dil piita to gham khata raha
raat bhar us barq-vash ki yaad men
sail-e-ashk ankhon se barsata raha
dhundhta phirta huun us ko ja-ba-ja
dil khuda jaane kidhar jaata raha
us masiha ki umid-e-vasl men
shaam jiita subh mar jaata raha
ishq ka ‘raana’ maraz hai la-dava
kab suna tu ne ki vo jaata raha
Leave a Reply