vo jo ḳhud apne badan ko sa.eban karta nahin
kyuun na pachhta.e ki saaya asman karta nahin
jaane kyuun ik dusre ke log hain shikva-guzar
kaun kis ke hauslon ka imtihan karta nahin
kuchh nahin khulta ki aḳhir kya kahani hai jise
log sunna chahte hain main bayan karta nahin
us se milte vaqt tujh ko saath rakhkhun kis tarah
main to apne-ap ko bhi darmiyan karta nahin
meri peshani pe apni mohr kar deti hain sabt
nasb jin rahon pe men apna nishan karta nahin
mujh men aur ham-peshgan men bas yahi ik farq hai
maang hai jis maal ki zeb-e-dukan karta nahin
sarf patvaron ke bal par paar kya utrega vo
in havaon men jo uncha badban karta nahin
hech hai sab ki nazar men dekhna ‘rashid’ vo shaḳhs
apne baare men jo ḳhud koi guman karta nahin
Leave a Reply