vo hamen yaad ab nahin karte
ham bhi fariyad ab nahin karte
kya hua ḳhair hai bata.en to
dil pe bedad ab nahin karte
shaad hota hai to uchhalta hai
dil ko ham shaad ab nahin karte
zulm-o-jaur-o-jafa sitam yaaro
vo mire baad ab nahin karte
sang-e-turbat pe maar de tesha
baat farhad ab nahin karte
so ga.e aḳhirash miyan ‘havi’
kuchh bhi irshad ab nahin karte
Leave a Reply