vo ik saval-e-sitara ki asman men tha
tamam raat ye dil sakht imtihan men tha
sukun sarab zamin men jhulas gaya tha badan
na jaane kaun dhanak-rang saeban men tha
zara sa dam na liya tha ki mund gaiin ankhen
main is safar se nikal kar ajab takan men tha
vo jaate jaate achanak muda tha meri taraf
mujhe yaqin hai ki vo phir kisi guman men tha
use bhulaya to apna khayal bhi na raha
ki mera saara asasa isi makan men tha
Leave a Reply