• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Dil Ki Tha Kabhi Sarsabz Khetiyon Ki Tarah

Wo Dil Ki Tha Kabhi Sarsabz Khetiyon Ki Tarah

vo dil ki tha kabhi sarsabz khetiyon ki tarah

sulag raha hai jhulaste hue thalon ki tarah

ye sher jis ki zamin ko bhi mujh se shikve hain

rahega yaad purani mohabbaton ki tarah

kisi jagah pe bhi sayyah dil Thahar na saka

jahan ki sair ko nikle musafiron ki tarah

utarti zehan men bhi ḳhush-gavar dhuup kabhi

shuru-e-garma ke khulte hue dinon ki tarah

lahu rulati hai be-vaqt tang karti hai

hai us ki yaad bhi be-rut ki barishon ki tarah

tumhari chaah ka anjam dekhiye kya ho

laga ke baiThe hain daav juariyon ki tarah

ḳhud apne saa.e se bhi kaanp kaanp uThta huun

main sahma phirta huun mafrur mulzimon ki tarah

us aankh men koi be-rang si kashish thi ‘riyaz’

purane qilon men kunda ibaraton ki tarah

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kis shaKHs Ki Talash Mein Sar phoDti Rahi

Bedam Shah Warsi

Justuju Karte Hi Karte Kho Gaya

Ye Marhala Hai Mere Aazmae Jaane Ka

poet

Ye Chhu Kar Mujhe Kaun Jaane Laga

Munh Kis Tarah Se moD Lun Aise Payam Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet