Wo Barq-E-Naz Gurezan Nahin to Kuchh Bhi Nahin

vo barq-e-nāz gurezāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ

magar sharīk-e-rag-e-jāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ

hazār dil hai tirā mashriq-e-mah-o-ḳhurshīd

ġhubār-e-manzil-e-jānāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ

bahār-e-gul-kada-e-nāz dil-kushā hai magar

nasīm-e-shauq ḳhirāmāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ

hai ḳhalvat-e-dil-e-vīrāñ hī manzil-e-mahbūb

ye ḳhalvat-e-dil-e-vīrāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ

har ek saañs ho ātish-kada to kyā hāsil

gudāz shola-e-pinhāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ

baġhair ishq hai rūdād-e-zindagī tārīk

ye lafz zīnat-e-unvāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ

bahut buland hai dil kā maqām-e-ḳhuddārī

magar shikast kā imkāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ

sukūn-e-shauq ho yā iztirāb-e-shauq ‘ravish’

agar ba-manzila-e-jāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ

Leave a Comment