vo alag chup hai ḳhud se sharma kar
kya kiya main ne haath phaila kar
phal har ik Daal par nahin hote
sang har Daal par na phenka kar
taaza rakhne ki koi surat soch
sukhe lab par zaban na phera kar
dasht-e-suraj men kya mila ham ko
rah gaya rang apna sanvla kar
miT na jaa.e kahin vajud tira
ḳhud ko fursat men chhu ke dekha kar
aa.ina ho chala hai suraj ab
hai yahi vaqt sab ko andha kar
ek hon do kinare dariya ke
koi aisi sabil paida kar
kaise darvaze par qadam rakhkhun
koi leTa hai paanv phaila kar
suraten zehn se na miT jaa.en
bhule-bhaTke idhar bhi nikla kar
sarsari taur par jo baat hui
us ne puchha usi ko dohra kar
Thahre paani men phenk kar patthar
apne saa.e ko tu na rusva kar
Leave a Reply