vasl men raftar-e-ma.ashuqana dikhlati hai niind
aaj kin aTkheliyon se ankhon men aati hai niind
yad-e-chashm-e-surmagin men shab ko gar aati hai niind
surat-e-murgh-e-nigah ankhon se uḌ jaati hai niind
furqat-e-dildar men sahvan agar aati hai niind
aankh se bahar hi bahar aa ke phir jaati hai niind
ain be-hoshi hai hushyari na samjha chahiye
ahl-e-ghaflat ki to bedari bhi kahlati hai niind
karvaTen le le ke kahte hain shab-e-furqat men ham
kis tarah ai ḳhuftagan-e-ḳhak aa jaati hai niind
in ki furqat men na puchho sarguzisht-e-ḳhvab-e-chashm
aj-kal pa-e-nigah ki Thokaren khati hai niind
sabza-e-ḳhvabida-e-gulshan ka jab aata hai zikr
tab qafas men koi dam bulbul ko aa jaati hai niind
furqat-e-dildar men sone ko marna kahte hain
ashiqon men ḳhvab-e-marg aise hi kahlati hai niind
niind ko bhi niind aa jaati hai hijr-e-yar men
chhoḌ kar be-ḳhvab mujh ko aap so jaati hai niind
kahte hain sona use chaunka na roz-e-hashr tak
is hamari baḳht-e-ḳhufta ki qasam khati hai niind
kya ghalat samjhe vo aa.ega phaḌakti hai jo aankh
aankh men ḳhauf-e-shab-e-furqat se tharrati hai niind
furqat-e-dildar men jo raat bhar aa.i na thi
vasl men aati hui ankhon sharmati hai niind
muntazir rakhti hai ghamze karti hai aati nahin
o but-e-tarsa tiri furqat men tarsati hai niind
ku-e-janan se jo uThta huun to so jaate hain paanv
daf.atan ankhon se paanv men utar aati hai niind
garmi-e-soz-e-jigar betab kar deti hai jab
ThanDi sansen aisi bharta huun ki aa jaati hai niind
tegh ka phal khaya ab-e-tegh pi kar so rahe
kasrat-e-ab-o-ghiza se vaqa.i aati hai niind
surat-e-zahid na jaago hazrat-e-dil so raho
qibla-e-man kaba-e-maqsud dikhlati hai niind
is miri divangi par ai junun patthar paḌen
aankh ke Dhele lagata huun agar aati hai niind
vaah re tasir-e-ulfat bal be-fart-e-ittihad
ghash pe ghash aate hain mujh ko jab unhen aati hai niind
sote ho to chashm-e-baddur ankhen rahti hain khuli
fitna-e-bedar kya aise hi kahlati hai niind
hijr men sone ki aisi hi tamanna ai ‘vazir’
dekhta huun us ko hasrat se jise aati hi niind
Leave a Reply