vajud ab mira la-fana ho gaya
fana ho ke juzv-e-baqa ho gaya
muqaddas hai aalam men zauq-e-fana
ki uqda do-alam ka va ho gaya
hua ashkara adam se vajud
likha tha jo taqdir ka ho gaya
na ham the na hangama-e-ka.enat
khuli aankh aur ḳhvab sa ho gaya
haqiqat hua rafta rafta majaz
rasa tale-e-na-rasa ho gaya
tira astana haram ho ki dair
musavat-e-shah-o-gada ho gaya
na kuchh hosh apna na hai kuchh ḳhabar
ḳhuda jaane ‘sahir’ ko kya ho gaya
Leave a Reply