kaghaz ke bane phuul jo gul-dan men rakhna
titli ki udasi ko bhi imkan men rakhna
main ishq huun aur mera nahin koi Thikana
ai husn mujhe dida-e-hairan men rakhna
shayad main kisi aur zamane men bhi aa.uun
mumkin to nahin hai magar imkan men rakhna
ab markazi kirdar tumhara hai mire dost
tum meri kahani ko zara dhyan men rakhna
ye rah-e-mohabbat to faqat band gali hai
asan se raste ko bhi saman men rakhna
Leave a Reply