vaj.h-e-qarar-o-rahat-e-dil-zadagan hai tu ki main
lafz-e-yaqin hai tu ki main harf-e-guman hai tu ki main
tera bhi astan vahi mera bhi ashiyan vahi
us ki sahar hai tu ki main us ki azaan hai tu ki main
jis ki tarash ke liye ḳhud ko lahu lahu kiya
ab usi rahguzar ka sang-e-giran hai tu ki main
apni ḳhabar se be-ḳhabar apni hi zaat se mafar
apni hi dastan ka ik harf-e-ziyan hai tu ki main
jis ki nazar men ḳhaar hai arz-e-vatan ki aabru
us ka hadaf hai tu ki main us ki kaman hai tu ki main
Leave a Reply