• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wahi Sar Hai Wahi Sauda Wahi Wahshat Hai Miyan

Wahi Sar Hai Wahi Sauda Wahi Wahshat Hai Miyan

poet

vahi sar hai vahi sauda vahi vahshat hai miyan

ab bhi aa jaao ki dil ki vahi ḳhalvat hai miyan

vus.at-e-did simaTne hi nahin paati hai

chashm-e-ahu se hamen aaj bhi nisbat hai miyan

umr jab hijr-e-musalsal ki masafat men kaTi

ye bhi kaT ja.egi ik din shab-e-furqat hai miyan

ku-e-dildar men baaqi nahin shorida-saran

shahr daryuza-gar-e-kucha-e-shohrat hai miyan

kyuun na ham mauja-e-hairat se lipaT kar soven

vasl ab tere liye bhi to mashaqqat hai miyan

tum ne kya dekhe nahin shams-o-qamar nezon par

jashn-e-zulmat pe ab kaun si hairat hai miyan

farq-e-taban hai tira matl.a-e-ḳhurshid magar

tere kakul men chhupi sham-e-qayamat hai miyan

dasht-e-hasti men bahut abla-pa.i hai ‘nadim’

sarhad-e-marg-e-musalsal to aziyyat hai miyan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dard Ki Dhup Dhale Gham Ke Zamane Jaen

shabnam-shakeel

hamrah mere koi musafir na chala tha

poet

Tere Baghair Lag Raha Hai Ye Safar KHamosh Hai

Kaisa Dar Ashkon Ki Naql-E-Makani Par

Pahle Banti Hi Na Thi Baat so Ab Banti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet