vahi hain koi surat in men begani nahin milti
vo chehre aah jin chehron pe tabani nahin milti
ajab duniya hai is men ḳhu-e-insani nahin milti
ki sidhe munh kisi se bhi ye divani nahin milti
luTaya jis ne hasti ko zamane ke tabassum par
usi dil ke liye ashkon ki qurbani nahin milti
kabhi tughyani-e-paiham ho to aansu nahin bahte
kabhi bahte hue ashkon men tughyani nahin milti
tajalli-ḳhana-e-husn-e-do-alam ‘shauq’ ka dil hai
yahi vo aa.ina hai jis men hairani nahin milti
Leave a Reply