• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-E-Mah Aap

Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-E-Mah Aap

poet

va.ada-ḳhilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap

sach to ye hai ki jhuTon ke hain badshah aap

daftar siyah karte hain kyuun katib-e-amal

huun maghrib gunahon ka main ru-siyah aap

ham se to dil men aap ke ab tak na ghar hua

kar lete hain dilon men ye kis tarah raah aap

ye gah bhi kafsh-ḳhana hai aḳhir huzur ka

tashrif yaan bhi laaya karen gaah gaah aap

mahshar talak rahega in ankhon ko shauq-e-did

dekhen ki ab dikhate hain ta-chand raah aap

tashbih naam ankhon ki hai sujhna muhal

saari bayaz karte hain na-haq siyah aap

kuchh husn hi hain afsar-e-ḳhuban nahin huzur

hain mulk-e-an-o-naz ke bhi badshah aap

aariz abhi hain ruup pe ḳhat aane dijiye

kar lijiyega farq-e-safed-o-siyah aap

kyuun us ne ku-e-yar se bahar nikale paanv

majnun hua hai haath se apne tabah aap

kalima paḌhe huzur ka dekhe jo samri

rakhte hain aisi sehr ki chashm-o-nigah aap

sab ashiqon ke ek se hote nahin chain

khoTa khara parakhne ki rakhiye nigah aap

darmandon ka hai kaun ba-juz un ke dast-gir

apne apahijon ko vo lenge nibah aap

mujh ru-siyah ki hai ye dua vaqt-e-baz-purs

rakhiyega apne lutf-o-karam par nigah aap

ulfat ka kya yahi hai natija jahan men

ashiq ko qatl karte hain kyuun be-gunah aap

dil de ke bahr-e-fikr men ho ghota-zan abas

dariya-e-ishq ki nahin pa.enge thaah aap

azm-e-safar to mulk-e-adam ka hai ai ‘qalaq’

kuchh apne saath le bhi chale zad-e-rah aap

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jis Ki Hasrat Thi Use Pa Bhi Chuke Kho Bhi Chuke

riyaz-khairabadi

Hangam-E-Naza Girya Yahan Be-Kasi Ka Tha

poet

Log Ki Jinko Tha Bahut Zom-E-Wajud Shahr Mein

Itni Hawa Na Waiz-E-Din-Dar Bandhiye

waseem-barelvi

Main Ye Nahin Kahta Ki Mera Sar Na Milega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet