kisi ka chehra kisi par saja nahin deta
kabhi fareb koi aaina nahin deta
hasad ka rang pasandida rang hai sab ka
yahan kisi ko koi ab dua nahin deta
ik e’timad tha baaqi so uTh gaya vo bhi
ki bhaai bhaai ke ghar ka pata nahin deta
bujhae jab se hamare charag logon ne
koi daraḳht hamen ab hava nahin deta
hamen ḳhuda pe bharosa hai na-ḳhuda pe nahin
ḳhuda jo deta hai vo na-ḳhuda nahin deta
Leave a Reply